Wednesday 16 January 2013

Dakshin Gagar River Surguja Gramwasi Sangharsh Morcha

Dakshin Gagar River Surguja Gramwasi Sangharsh Morcha is morche ka gathan ek warsh purv Surguja zila ko teen tukdo me baat kar naya zila Balrampur banaya gaya.Chhattisgarh sash ke is faisale se Gagar nadi ke dakshin kshetra ke 18 gram panchayat, jaise ki Ara, Ghatgaon, Bariyon, Baghima, Revatpur, Dhandapur, Bhila Khurd, Batidand etc. gram ke gramwasi asantust aur akroshit hain kyunki, pahle awibhajit surguja ka mukhyalaya Ambikapur ki doori us samay kewal 15-25 km thi, parantu ab Balrampur -Ramanujganj zila mukhyalay ki doori in gramo se 100-140 km ho gayi hai, jiski wajah se aadwasi bahulya yah kshetra akroshit hai aur andolan shuru kar di hai, aur yadi sashan ke kaan me ju nahi renga tab sabhi 18 panchayat ke gramwasi chattisgarh vidhan sabha chunav 2013 ka bahishkar karenge.