Saturday 11 February 2012

pando janjati

pando sirf surguja jila me rahte hain, korva janjati ke saman ye bhi samuh me rahte hain , inki vivah padhti hindu vivah ke saman hai. ye dhanush chalane me mahir hain . bharat ke pratham rastrpati dr. rajendr prasad 1951 me surguja aaye the ,tab ve pando bahuly gram pandonagar [ambikapur se 12km] me 2 din ruke the .yanha unke rukne ke liye chota ghar ka nirmad kiya gaya tha .yanha we2 khair [katha] ka ped lagaye the we ped aour ghar aaz bhi hai ghar ka nam SURGUJA KA RASTRPATI BHAVAN hai aaz vanha librery hai. pando chote kad ke jangal me rahte the , ab ve tathakathit sabhy smaj ke sanmpark se kuch rahan -sahan me parivartan karne lage hain. gram bariyon me pandopara, pandonagar ke alva ramgadh parvat ke nikat ke gramo me ve rahte hain

No comments:

Post a Comment